phir charaġh-e-lala se raushan hue koh o daman
mujh ko phir naġhmon pe uksane laga murġh-e-chaman
phuul hain sahra men ya pariyan qatar andar qatar
uude uude niile niile piile piile pairahan
barg-e-gul par rakh ga.i shabnam ka moti bad-e-sub.h
aur chamkati hai us moti ko sūraj ki kiran
husn-e-be-parva ko apni be-naqabi ke liye
hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban
apne man men Duub kar pa ja suraġh-e-zindagi
tū agar mera nahin banta na ban apna to ban
man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq
tan ki duniya tan ki duniya suud o sauda makr o fan
man ki daulat haath aati hai to phir jaati nahin
tan ki daulat chhanv hai aata hai dhan jaata hai dhan
man ki duniya men na paaya main ne afrangi ka raaj
man ki duniya men na dekhe main ne shaiḳh o barhaman
paani paani kar ga.i mujko qalandar ki ye baat
tu jhuka jab ġhair ke aage na man tera na tan
0 Comments